Us ki gali mein phir mujhe ek baar…
Us ki gali mein phir mujhe ek baar ley chalo
Shaed ye mera wehum ho mera khyal ho
Mumkin hai meyrey baad mera malal ho
Pachhta reha ho eb mujhe dar sey uthha key wo
Betha ho meri yaad mey ankhein bichha key wo
Usne bhee to kiya tha mujhe pyar ley chalo
Us ki gali ko janta pehchanta hu mein
Wo meyri qatal gaah hai ye manta hu mein
Us ki gali mey mout muqader ki baat hai
Shaed ye mout ahley wafa ki hiyaat hai
Mein khud bhee mout ka hu talab gar ley chalo
Dewana keh key logo no her baat taal de
Duniya ney meyrey paou mey zanjeer daal de
Chaho jo tum to mera muqader sanwar do
Yaaro ye meyrey paou ki beydee utaar do
Ya khenchtey huwey sarey bazar ley chalo
Us ki gali mein phir mujhe ek baar ley chalo
More Stories
Bhool jaain to aaj…
Bhool jaain to aaj behtar hai Silsilay qurb ke judai kay Bujh chukeen khwahishon ki qindeelain Lut chukay shehr aashnai kay Raigaan saa’aton Se kya lena Zakham hoon, phool hoon, sitaray hoon Mosamom ka hisaab kya rakhna Jis nay jaisay bhi din guzaray hoon Zindagi say shikayatain kaisi Ab naheen hain agar gilay thay kabhi […]
Ye dard mit gaya to phir…?
Ye dard mitt gaya to phir? Ye zakhm sill gaya to phir…? Bichhar kar sochti hoon main, Wo phir se...
Average Rating