Bhool jaain to aaj…
Bhool jaain to aaj behtar hai
Silsilay qurb ke judai kay
Bujh chukeen khwahishon ki qindeelain
Lut chukay shehr aashnai kay
Raigaan saa’aton Se kya lena
Zakham hoon, phool hoon, sitaray hoon
Mosamom ka hisaab kya rakhna
Jis nay jaisay bhi din guzaray hoon
Zindagi say shikayatain kaisi
Ab naheen hain agar gilay thay kabhi
Bhool jaain ke jo hooa so hooa
Bhool jaain ke hum milay thay kabhi
Aksar auqat chahnay per bhi
Fasloon main kami naheen hoti
Baaz auqat janay walon ki
Wapsi say khushi naheen hoti
More Stories
Us ki gali mein phir mujhe ek baar…
Us ki gali mein phir mujhe ek baar ley chalo Shaed ye mera wehum ho mera khyal ho Mumkin hai meyrey baad mera malal ho Pachhta reha ho eb mujhe dar sey uthha key wo Betha ho meri yaad mey ankhein bichha key wo Usne bhee to kiya tha mujhe pyar ley chalo Us ki […]
Ye dard mit gaya to phir…?
Ye dard mitt gaya to phir? Ye zakhm sill gaya to phir…? Bichhar kar sochti hoon main, Wo phir se...
Average Rating